Wednesday, 30 March 2016

Bhabi Aane wali Hai...

Ghar ki andheri chaukhat pe ek ummed ki roshni ubhri hai,
Gumshum si mahol me ek ajeeb si Shor sharaba hai,

Nayi mehmaan ki intezaar me dada ek Sau aath martaba pani chadhate hain,
Dadi khus hai ki pota ke liye ek nanhi si gudiya lane wali hai,

Papa ke Mann me ek nayi umang si hai, ghar Ko ek aur beti jo Milne wali hai,
Maa bhi khus hai ki usse Kaam me haath batane wali ek dost jo Milne wali hai,

Chacha chachi,mausa mausi, mama mami Sab mano saatwen aasmaan pe hain,
Shaadi me jhum kar Sab jo nachne wale hain,

Waqt ke kataar me riston ke dhaage jo nukile pad Gaye the,
Sab woh khus hai ki Phirr se kas ke baandhne Ko ek zanjeer jo aane wali hai,

Bhaiya ke paaon to ab asmaan pe hai, Apne sapno Ko sajate hue woh khus bahut hai,
Uski viraan zindegi me khusiyan lane ek humsafar jo aane wali hai,

Inn khusi ke mauke par hum bache bhi behad khus hain,
Hamari baat sunne ghar me jo humari bhabi aane wali hai....

--------------------HINDI VERSION-------------------------------------

घर की अँधेरी चौखट पे एक उम्मीद की रौशनी उभरी है,
गुमशुम सी माहौल में एक अजीब सी शोर शराबा है,

नयी मेहमान की इंतेज़ार में दादा एक सौ आठ मर्तबा पनि चढ़ाते हैं,
दादी खुस है की पोता के लिए एक नन्ही सी गुड़िया लाने वाली है,

पापा के मन में एक नयी उमंग सी है, घर को एक और बेटी जो मिलने वाली है,
माँ भी खुस है की उसे काम में हाथ बटाने वाली एक दोस्त जो मिलने वाली है,

चाचा चची,मौसा मौसी, मामा मामी सब मानो सातवें आसमान पे हैं,
शादी में झूम कर सब जो नाचने वाले हैं,

वक़्त के कतार में रिस्तों के धागे जो नुकीले पड़ गए थे,
सब वह खुस है की फिर से कस के बाँधने को एक ज़ंजीर जो आने वाली है,

भैया के पैर तो अब आस्मां पे है, अपने सपनो को सजाते हुए वह खुस बहुत है,
उसकी वीरान ज़िन्दगी में खुशियां लाने एक हमसफ़र जो आने वाली है,

इन् खुसी के मौके पर हम बच्चे भी बेहद खुस हैं,
हमारी बात सुनने को घर में जो हमारी भाबी आने वाली है....

Saturday, 19 March 2016

Ek Guzarish.

Yeh waqt mujhe bas ek mohalat de,
khud se khud mai milsakun kuchh aisa mauka de,

andhera kamra ho, band darwazen ho,
yaadon me bas woh rahe kuchh aisa pal sunhera de,

mann ek kora kagaz hai, baitha hun kalam liye,
likh sakun kuchh geet gazlen, kuchh aisi halaat de,

woh afsaana jo honthon tak aakar bhi ruk gayi thi,
phirr se suna dun woh kahaani sabko, bas koi alfaaz de.

band aankhon se bhi mai gujar jaun har ek daur se,
magar palat kar dekh sakun jahan se, aisa koi mod de...

 -------------------------HINDI VERSION-------------------
ऐ वक़्त ! मुझे बस एक मोहलत दे,
खुद से खुद मै मिल सकुं कुछ ऐसा मौका दे,

अँधेरा कमरा हो, बंद दरवाजें हो,
यादों में बस वोः रहे कुछ ऐसा पल सुन्हेरा दे,

मन एक कोरा कागज़ है, बैठा हूँ कलम लिये,
लिख सकूँ कुछ गीत ग़ज़लें, कुछ ऎसी हालात दे,

वह अफ़साना जो होंठों तक आकर भी रुक गयी थी,
फिर से सुना दूँ वह कहानी सबको, बस कोई अलफ़ाज़ दे.

बंद आँखों से भी मै गुजर जाऊं हर एक दौर से,
मगर पलट कर देख सकूँ जहाँ से, ऐसा कोई मोड़ दे...

Saturday, 5 March 2016

Chalo Khud Se Khud Ka Jikr Kare


Chalo khud se khud ka jikr kare,
Dil se Dil ka fikar kare,

Samne aakar aaina ke,
Chalo chehere ka dhool saaf kare,

Rangat hai nazaron me,pholon me khusbu,
Zamane se churakar chalo khud ka sawanra kare,

Na auron se ho Gila,na Kisi se sikayat Karen,
Jo bhi mile hathon ki lakiron se usise hi basera Karen,

Na ho Kisi ke honthon par Apna naam to koi Baat nehin,
Unche tilon pe chadh kar Jor Jor se Apna naam pukara Karen...

************Hindi Vesion*****************

चलो खुद से खुद का जिक्र करे,
दिल से दिल का फ़िक्र करे,

सामने आकर आइना के,
चलो चेहरे का धुल साफ़ करें,

रंगत है नज़ारों में,फूलों में है खुसबू,
ज़माने से चुराकर चलो खुद का सवांरा करें,

ना औरों से हो गिला,न किसी से शिकायत करें,
जो भी मिले हाथों की लकीरों से उसीसे ही बसेरा करें,

ना हो किसी के होंठों पर अपना नाम तो कोई बात नहीं,
ऊँचे टीलों पे चढ़ कर जोर जोर से अपना नाम पुकारा करें...

Monday, 1 February 2016

Zaruri Hai


Kabhi kabhi apne lahu ko chhuna zaruri hai,
Thanda hai ya garam pata chalta hai,

Kabhi apni iss lau pe bhi haq jatana zaruri hai,
Azaad hai ya ghulam pata chalta hai,

Aur iss zamane ke logon ko azmana bhi zaruri hai,
Imaan hai ya beimaan pata chalta hai,

Muqaddar se mili kisi manzil ko chhodna zaruri hai,
Himmat aur kabiliyat me fark pata chalta hai,

Aur kabhi kabhi iss dil ke pate ko geeton me likhna zaruri hai,
Apna hai ya paraya pata chalta hai....

-------------------------IN HINDI---------------------
कभी कभी अपने लहू को छूना ज़रूरी है,
ठंडा है या गरम पता चलता है,

कभी अपनी इस लौ पे भी हक़ जाताना ज़रूरी है,
आज़ाद है या ग़ुलाम पता चलता है,

और इस ज़माने के लोगों को आज़माना भी ज़रूरी है,
ईमान है या बेईमान पता चलता है,

मुक़द्दर से मिली किसी मंज़िल को छोड़ना ज़रूरी है,
हिम्मत और काबिलियत में फर्क पता चलता है,

और कभी कभी इस दिल के पते को गीतों में लिखना ज़रूरी है,
अपना है या पराया पता चलता है....

Friday, 25 December 2015

Jaane Ki Baat Na Kehna

Chahe kuchh bhi kehna par yeh jaane Ki baat na kehna,
Itni khusi ke mauke par ghum ki baaten na kehna,

Muddoton ke baad to aayi ho,aur kareeb aao,
Meri aghosh me aakar mera daman chhodne ki baat na kehna,

Mere ojhal aankon me jhank kar Dekho,tasveer tumhari hogi,
sanwar lo,Mann bhar jaye to bichhadne ki baat na kehna,

Haan maana ki hazar tarah ki sikayate hongi mujhse,
Sab Bhul jaana magar Yeh bagawat ki baaten na kehna,

Tumhari Har sitam tumhare Haath pakadte hi Bhul jaunga,
khich kar chahe meri Jaan le Lena, magar haath chhodne ki baat na kehna,

Akhir me to sab ko jaana hai,mujhko bhi,tumko bhi,
Jo baat khuda kehna chahiye woh baat tum na kehna,

Gehri neend me Hun, sayad sapna dekh raha hun, dekhne do,
Magar subah hogayi hai Bol kar jaagne ki baat na kehna.

--------------------------IN HINDI---------------------

चाहे कुछ भी कहना पर येः जाने की बात न कहना,
इतनी खुसी के मौके पर गम की  बातें  न कहना ,

मुद्दोतों  के बाद तो आयी हो,और करीब आओ,
मेरी अघोष में आकर मेरा दामन छोड़ने की बात न कहना,

मेरे ओझल आँखों में झांक कर देखो,तस्वीर तुम्हारी होगी,
संवर लो,मन भर जाये तो बिछड़ने की बात न कहना,

हाँ माना की हज़ार तरह की सिकयते होंगी मुझसे,
सब भूल जाना मगर यह बगावत की बातें न कहना,

तुम्हारी हर सितम तुम्हारे हाथ पकड़ते ही भूल जाऊंगा,
खीच कर चाहे मेरी जान ले लेना, मगर हाथ छोड़ने की बात न कहना,

आखिर में तो सब को जाना है,मुझको भी,तुमको भी,
जो बात खुदा कहना चाहिए वह बात तुम न कहना,

गहरी नींद में हूँ,सायद सपना देख रहा हूँ,देखने दो,
मगर सुबह हो गयी है बोल कर जागने की बात न कहना |

Sunday, 6 December 2015

Kitna Suhaana Mausam Hai.

Kitna suhaana mausam hai,
Madhosh hawaon ka paigaam hai ki bahar aayegi,

Ab har baag me phool khilenge,
Mandiyon me bhi sabjion ki dher lagegi,

Bite mausam ki bagawat ko Bhul kar,
Ab Duniya razaion ke niche ek aur khwab sajayegi,

Hum bhi uljhenge Teri yaad me sabb bhar,
Uljhanon ko geet banane ko meri diary ki ek panna bhi khulegi,

Muntazir hun ki hazaron mausam ke baad bhi tu aayegi,
Teri pukar se tute meri neend aisi subha bhi kabhi aayegi,

Aur log aane ki khusiyon se jyaada Jane ki maatam manate hain,
Aur woh Bhul jaate hain ki jo Aaj aayi hai woh jarur kabhi jayegi,

Sab ki zindegi me uljhanen hain,bechaini hai,

Magar chain se sulane wali raat ek roz sabki aayegi..

(Hindi Version)

कितना सुहाना मौसम है,
मदहोश हवाओं का पैगाम है की बहार आएगी,

अब हर बाग़ में फूल खिलेंगे ,
मंडियों में भी सब्जिओं की ढेर लगेगी ,

बीते मौसम की बगावत को भूल कर ,
अब दुनिया रज़ाईओं के निचे एक और ख्वाब सजाएगी ,

हम भी उलझेंगे तेरी याद में शब  भर ,
उलझनों को गीत बनाने को मेरी डायरी की एक पन्ना भी खुलेगी ,

मुन्तज़िर हूँ की हज़ारों मौसम के बाद भी तू आएगी ,
तेरी पुकार से टूटे मेरी नींद ऐसी सुबह भी कभी आएगी ,

और लोग आने की खुशियों से ज्यादा जाने की मातम मनाते हैं ,
और वह भूल जाते हैं की जो आज आई है वह जरूर कभी जाएगी,

सब की ज़िन्दगी में उलझनें हैं ,बेचैनी है ,
मगर चैन से सुलानेवाली रात एक रोज़ सबकी आएगी ..

Sunday, 1 November 2015

Jo Miljaye Woh Chaand Kya ?


Jo girjaye haathon me toh woh chaand kya ?
Woh dur hai aasmaan me,
Isiliye toh pyaas sadiyon se hai, 
Jo miljaata asani se toh phirr woh chaand kya ?

Hum toh yun taak te hain,
Yunhi kisiko jod kar chhedte hain,
Jo bhi aajaye dil ke darr par hum usiko batlate hain,
Wohi agar aajata toh phirr woh chaand kya ?

Sab usse chahte hain,
Par paas jaane ko itrate hain,
Jaan ki Fikr me sab usse khwab hi batlate hain,
Bina jaan gawaye miljaye toh phirr woh chaand kya ?

Woh Badal usse khub chahta hai,
Isiliye to paas Jane ki koshis me baras jata hai,
Sadiyon ka woh justzu hai,phirr bhi bahut dur hai,
Miljaata jo usse phirr woh humara chaand kya ?

Friday, 25 September 2015

Chalo Ek Naya Kavita Likhte Hain

Muddaton se khamosh kalam ka zameer Aaj jaag utha hai,
Yun kagaz pe ragad jaane ko woh aaj bechain bahut hai,
Kuchh halaton se gujar kar kuchh sabd woh sameta hai,
Chalo hum bhi thoda haath batayen,Chalo ek Naya Kavita likhte hain...

Tute hue dil ko samet kar chalo usse taak par rakhte hain,
Aur kya haal hai janab ka Aaj Kal Zara puchhte hain,
Kyun itne dino se woh khamosh tha, 'kahin kho to nehin gaya tha' puchhte hain,
Uski khone ki ehsaas ko chalo kuchh alfaaz de, chalo ek Kavita likhte hain...

Aao apni nazron ko aas paas ghumate hain,
Aankhon ke samne hai kuchh parde,uss parde ke paar dekhte hain,
Apne chere pe bhi dhool hai sayad chalo aaina dekhte hain,
Jo bhi dikhayi de woh sari sach likhte hain, chalo ek Kavita likhte hain ...

Tuesday, 28 July 2015

Zindegi Aur Bhi Baki Hai

Zindegi jahan se suru hui thi,
Aaj phhirr wohin pe aa khadi hai,
Par Khatam hona aur bhi baki hai,
Kai khwabon ka tutna aur bhi baki hai,
Kuchh naye sapne sanwarne ko bhi baki hai,
Zindegi aur bhi baki hai....1

Zindegi ke mele me bahut kuchh dekhe hain,
Gairon ko apna,apnon ko Gair bante dekha hai,
Par kuchh logon se milna aur bhi baki hai,
Apnon ka war abhi tak bhi baki hai,
Dushmanon ko pehchan na bhi baki hai,
Zindegi aur bhi baki hai....2

Yun to Zindegi me mukame bahut mili hain,
Humdard jaise humsafar bhi mile hain,
Par aasmaan ko chhuna abhi baki hai,
Kai nakamyabion se gujarna aur bhi baki hai,
Manzil ko chhuna aur Bhi baki hai,

Zindegi aur bhi baki hai....3

Wednesday, 10 June 2015

Dil Dariya Me Ghus Rahi Ho

Dil dariya me ghus rahi ho,wapas mat jaana,
Aandhi toofan to aati rehti hai,darr mat jaana,

Dhadkanon ki lehren paar karke tum apna kinara dhundna,
Har leher par tumhara naam rahega, ummed mat khona,

Kabhi kabhi tumhari patwar ladkhadayegi, par badhti rehna,
Paani thoda Khaara hai par zehrila nehin, biswas mat khona,

Agar thak jaogi toh Yeh hawaaen tumhe mukaam tak pahuncha degi,
Raat thodi lambi hai par subha jarur hogi, thodi Der hui Toh bewafa mat kehna,

Hai agar dil me itni himmat toh aana, warna na aana,
Magar aakar iss dil ko phirr ek baar Tod mat jaana...