Saturday 2 November 2013

Ye Dil Tu Thoda Sambhal Jaa

 
Ye dil! tu thoda sambhal ja,
Haal hi me jo dard mile the,
Woh ghon abtak bhare nehin hai,
Ye dil! tu thoda sambhal ja.....

Khoon ab bhi ansu bankar tapak rahe hain,
Apne hi angan me abb v tu rushwa hai,
Itna bhi Khud ko majboor na kar,
Ye dil! tu thoda sambhal ja.....

Mana ki bebasi ki aag me tu jal raha hai,
Bekrari me tu aaj bhi tadap raha hai,
Par ishq ki aasiqui me phirr na fisal,
Ye dil! tu thoda sambhal ja.....

Tute hue kisso ko tu abtak samet nehi paya hai,
Ghani viraan raaton ko abtak gujaar nehin paya hai,
apne hi rahon me musafir banne se pehle,
Ye dil! tu thoda sambhal ja......

Ye nazre nazaron ki khel hai,
Bas lachar kuchh pal ki Mel hai,
Phirr chalega dilon ka bikhrna,dekhna
Yeh dil! tu thoda sambhal ja.....

Waqt ki pawandi abtak hata nehi hai,
Dard ke badal abb v gujre nehin hai,
Ansuon ki barish me phirr kho na Jana.
Yeh dil! tu thoda sambhal jaa.....

Dil tu bas thoda samhal jaa...
Duniyan me kuchh din akele jeeta jaa,
Ishq me jaan yun fanna na kar,
Ye dil! tu thoda sambhal jaa.....

Thursday 1 August 2013

Mann Panchhi

Mann panchhi mera udd aaya,
udd aya uss kale badlon se dur,
ghane junglon se dur,
udd aaya apna pankh lehrate hue,
naya ek duniya sajaane...

Mann panchhi mera udd aaya,
udd aaya unn mehlon se dur,
gehre sannaton se dur,
udd aaya apna bahen phehlate hue,
naya ek sapna sajaane.....

Mann panchhi mera udd aaya,
udd aaya unn doston se dur,
ranz-o-gum se dur,
udd aaya apna jor lagate hue,
naya ek dost banane.......

Mann panchhi mera udd aaya,
udd aaya unn galiyon se dur,
pinjre ki dayare se dur,
udd aaya apna khwab bachate hue,
naya ek duniya me jeene....

Mann panchhi mera udd aaya,
udd aaya unn saazishon se dur,
shima hin dariya se dur,
udd aaya apna jaan bachate hue,
yaadon ki tinke se naya ek aashiyana banane....

Sunday 9 June 2013

TERE BINA


Tere bina ye hasr hua hai,
ki tere bina koi aur hasrat nehin hai,
dil me jine ki jazbaat bahut hai,
magar tere bina khudko jalane ki tamanna hai....

Tere bina mera ye haal hai,
ki tere bina koi haalaat nehin jachta hai,
mehfil me hasne ki koshis ye dil karta hai,
magar tere bina ye mehfil bhi viraan lagta hai......

Tere bina mera ye aitraaz hai,
ki tere bina kisipe aitbaar nehin hai,
kehene ko to sab apne hi hai,
magar tere bina sab gair hai....

Tere bina mera kuchh aisa raat hai,
ki tere bina har raat hijr ki hai,
chain se sone ko ye jism chahta hai,
magar tere bina ye dil bachaini me  jaagta hai....

Tere bina mera koi kal nehin hai,
ki tere bina koi aisa pal nehin hai,
bin tere sawarne ko koshis to hai,
magar tere bina jeene ki aur aas nehin hai.

Friday 3 May 2013

Ajnabi Raton me Anokhi Kahani

Woh masum thi,kali thi,
itefaq se nazre mil gaye,
ussme adan thi,khubsurti thi,
bhid me the phirr bhi dil ladh gaye...

Hum the nase me chur,
woh bhi the khuda ke noor,
bhid me the dono,
phirr bhi thi ankh ladhane ki surur.....

Kai sare bandhan the,
phirr bhi hum usse tak rahe the,
uski pairon me kai sare bediye bhi the,
phirr v woh humse nazre mila rahe the..

Inhi do mulakato me chhupi thi puri kahani,
mere saamne woh bhi thi badi sihani,
adaaon ke saath woh dikha rahi thi apni jawani,
aur hum khwabon me likh rahe the aur ek prem kahani....

Pal do pal ki mulakaton me usne dikhayi thi sari zindegani,
ankhon akhon me dikhayi thi apni mann mani,
kya kare ye bechara dil, bada hi najuk hai iski nadaani,
ajnabi raat me likh rahi thi ye koi anokhi kahani.....

Tuesday 30 April 2013

Tumhe Hi Pata Nehin

Tumhari khubsurti ki raaz,tumhe
       pata nehin,
tumhari adaon ki taqat,tumhe
       pata nehin,
tumhari aankhon ki nazakat,tumhe hi
       pata nehin,
tumhari woh balkhati kamar,
kitno ko katl karti hai,
woh tumhe pata nehin,
tumhari kimat kya lagae koi,Bhagwan ko bhi
       pata nehin,

tumhe bas itna hi pata hai,
    ki bas udna hai tumhe,
    ek titli ki tarah.
   
    chhuna hai har woh rang ko,
    Indradhanus ki tarah.
   
    khilna hai tumhe har pal,
    baagon me phoolon ki tarah.

    behjana hai dur samandar tak,
    balkhate nadi ki tarah.

kab rukogi kab thakogi,woh tumhe bhi
        pata nehin......

Monday 15 April 2013

RAAT,MAI,TUM

Sannate bhari chadar tale soti raat me,
Bikharti hui chandni me,dhundlati asmaan me,
Adha hai chand ye adhi raat me,
Bahar badi thand me ,adha tum aur adha mai….1

Nind me soye hue dunia ke khamoshi me,
Chuppiyon me,sehlati thand me,
Gunj rahi hai awaaz tumhari meri kanon me,
Bol rahe the kuchh kuchh,adha tum adha mai….2

Nayi nehin thi zindegi badi purani dosti me,
Dunia me,chalte hue safar me,
Bane hue duri ko mita rahe the apas me,
Kuchh na samajh thi tum,kuchh na samajh tha mai….3

Na samajh raat ki naadan pal me,
Badhti ghadi me,ghat-ti raat me,
Baaten ho rahe the milne ki khusi me,
Khub has rahi thi tum,khub has raha tha mai….4

Inhi dil-lagi baton baton me,
Behkti jazwaton me, dil ki kone me,
Kahin tum bas gayi ho jane anjaane me,
Anjaan ho tum, par  sab janta hun mai….5

Pata nehin kya hai rab ki marzi iss zindegi me,
Zindegi ke safar me,tumhari saath me,
Chalna hai kuchh dur hasi khusi me,
Arzi mera marzi uski, nadaan ho tum anjaan hun mai….6

Puri ho gayi raat kuchh betuki baton me,
Kuchh sawalon me, kuchh jawabon me,
Waqt ki dastak se baaten bach gaye kal ke intezaar me,
Na chahte hue so rahe the tum, aur sone jaa raha tha mai….7

Friday 12 April 2013

Jab Jab

Jab jab tu nazren pherti hai,
Dil me chhuriyan chal jaate hain,

Jab jab tu sharmati hai,
Mann mera machal jata hai,

Jab jab tu sehem jaati hai,
Dil mera jor jor se dhadkne lagta hai,

Jab jab mere khayalon me tu yaad aati hai,
Alfaz-e-mann ke mera shayari ban jaata hai.....

Thursday 11 April 2013

Kal se

Armaan machal rahe the kal se,
Zindegi ji raha tha kal se,
Tumse yuhin milatha kal se,
Dosti yaari sab kiye the kal se,
Phirr se jina sikha tha kal se,
Karreb the yuhin bahut kal se,
Majak masti jhagda jo sab hua tha kal se,
Tum jaa rahi ho nehin aaogi aur kal se,
Inn aankhon ko aur rubaroo na hogi tum kal se,
Phhirr bikhar ke sawar jayunga mai kal se,
Tum jeena tumhari duniya me kal se,
Mai rahunga apna had me kal se,
Bas yaad rakhna mujhe kal se..........

Kal se-New poem by Jnyana