Tuesday 11 November 2014

Koi Ajnabee Aisa Bhi Aaye.


Koi ajnabee zindegi me Aisa bhi aaye,
Tute sapno ko badi siddat se Woh sajaye,
Tuti bikhri Ye zindegi ko apni haathon se samete,
Kaash mere Har kadam par Woh saath chale.

Khamosh gujre inhi raaton me chand baaten Woh kahe,
Meri soch ko bhi Woh kahani banaye ,
Kaash Ye zindegi me koi ajnabee Aisa bhi aaye,
Suni padi inn bahon ko bhi Woh bharjaye.

Meri diwangi pe bhi Woh Dao lagaye,
Zindegi ko pichhe chhode mujhse zindegi Woh jod jaye,
Kaash Aisa koi ajnabee meri zindegi me aaye,
Ki Har mausam Woh meri saath nibhajaye.

Raat raat Woh mere kavita sune,
Meri labon ko woh chhu kar ek nai sur dejaye,
Kaash koi ajnabee Aisa bhi aaye,
Iss anjaan tarano ko duniya ki tarannum tak lejaye ....