Monday 23 February 2015

Sapnon Ko Wohin Chhod Aaye

Dil jis mod pe atka tha wohan se Usko khinch le aaye hain,
Apnon ko saath le aaye par kuchh sapnon ko wohin chhod aaye,

Phirr bhi kuchh apne chhut Gaye, jo Wada karke nibha nehin payen,
Unn dilbaron ko yaaden banakar itihaas me chhod aaye,

Kal tak jinko parhez thi meri khushiyon se unke dil na Tod paye,
Kuchh Aise doston ko apna dil Tod kar hasta hua chhod aaye,

Jis manzar se hum manzil tak na pahunch paye,
Kuchh Aisi namurad Manzilon ko raah badalte hue chhod aaye,

Udaas Zindegi me haath tham kar khushiyan dene bahut aaye,
Par unke bheekh ko Unhi ke jholi me hi chhod aaye,

Ek din chaand bhi apni chhat par aakar bola "kaid karlo",
Par humne bhi khuddari se usse wohin aasmaan pe chhod aaye,

Magar jab lehron ne pukari apni dil khol kar,tab hum bhi Kud pade,
Bina gehrai nape jazbaati bangaye aur apni jaan ko kinaron pe hi chhod aaye...

Monday 9 February 2015

Aur Kuchh Bhi Nehin . . .

Tum hi jaano jaan-e-gazal humse kya khata hui?
Dil ne kiya jo nadaani woh pyaar tha aur kuchh bhi nehin,

Jo baat tumhe kubool na tha, usi baat ko majak sabne banaya,
Par dil ne jo kaha woh izhaar tha aur kuchh bhi nehin,

Kal tak thi jo surkhiyon me aaj logon ke jehen me bhi nehin,
Ab sab kehte hai woh majak tha aur kuchh bhi nehin,

Raat me kal tum aayi thi, khusnuma baarish me bhigoke chali gayi,
Sabaa ki sabnam me tanha payaa to samjha woh khwab tha aur kuchh bhi nehin,

Apna kehke jo bhi aaye zindegi me meri uljhane mitane,
Woh bhi kahan kam the, ek ek paheli the aur kuchh bhi nehin,

Karti rahi zindegi humse najaane kitne khilwad,
Jab haara tab samjha sab khel tha aur kuchh bhi nehin,

Wafadaari ke iss khel me wafaa karta raha yeh 'sahil'
Zafaa dariya se nehin tumse thoda khafa tha aur kuchh bhi nehin....