Tuesday 29 April 2014

Sahil

Aaj pata chala Ye lehren kyun sahil se takrati hain?
Dard sine me de kar kyun phirr laut jati hain?
Yugon se bandi hai Woh uss dariya ke aghos me,
Bas karz intezar ki chukane Woh aati jati rehti hain...

Milti hain aisi, jaisi pal me Jane wali hain,
Jati bhi hain aisi jaisi phirr laut ke aane wali hain,
Par Woh bewkoof sahil abb bhi uss intezar me baitha hai,
Ek na ek din Woh sagar ki lehren usse Milne wali hain.....

Raaz Ye ab raaz nehin raha hai,
Ye sach zamane bhar me pata hai,
Jaan kar bhi anjaan abb bhi hai ye sahil,
Banega uska usse aur bhi yakeen hai....

Gujarte hue Har ek musafir koi nishan chhod jata hai,
Aadat se majboor Woh lehren Sabko mitati rehti hai,
Abb to kehne lagi hai ye saara zamaana,
Ki Ye sahil musafiron ke,aur Ye lehren sahil ki hai...