Sunday 28 September 2014

Zindegi !






Zindegi!
   duniya ke rangmanch pe bhag rahi hai zindegi,
   to kahin lakho ki bheed me gujar rahi hai ye zindegi.


   kisiki aankhon ki sapnon me ithlati hai zindegi,
   to kahin kisiki khoon pasina se basti hai ye zindegi.


   paiso se kharida hua kisi ki ghulam hai ye zindegi,
   to kahin taqdeer se hare hue ka badsah hai ye zindegi.

   chakmagati gireban tale,gurur se dabti hai kahin zindegi,
   to kahin sehenshilta ki tehzeeb se daudti hai ye zindegi.

  
Zindegi!
   har mod pe,har kisso me,ek ek paheli hai ye zindegi,
   to kabhi uss paheli ko suljhate hue sipahi hai ye zindegi,


   ajeeb sawal hai,"hoti kya hai ye zindegi"?
   to jawab bhi deti hai khud wohi zindegi.

   jisko mila sayad wohi hai zindegi,
   jiski naseeb nehin hua woh bhi hai zindegi,

   jo zinda hai usne jana nehin ki hai kya ye zindegi,
   jo margaya usne bhi samjha nehin asool-e-zindegi,


Zindegi!
   Har dil ki awaaz hai ye zindegi,
   pyaar mohabbat ki sandesh hai ye zindegi,

   Ishwar ka diya hua anmol uphaar hai zindegi,
   sama aur parwaana jaisi hi hai ye zindegi......

   dil ki jharonko se jo dekha,usse "gyan" ne kaha zindegi,
   par uske chhote dimag se bhi pare hai ye asal zindegi.....


Sunday 21 September 2014

Yaadon Ki Asar-1

Aksar tanha baithe yehi sochta hun,
Ki tum hoti to kya hota ?
Tere hathon Mera haath hota,
Rahen suhani hoti,
Suhana mausam hota,
Aur kahani kuchh alag hoti.

Baarish ki bundon ki tarah 
Ek duje k liye barash jate,
Phagun ke gullal me ghul jate,
Befikar yun pankh lehrate,
Pure aasman ko naap lete.

Par aisa ho na saka,
Rahon me Ye kaisi aafat aagayi,
Tum mujhse juda hogayi,
Manzilon se maksad alag kargayi,
Aur Pyar ki pehli haar degayi.

Tuesday 16 September 2014

Tum Yeh Kya Puchh Baithe?



Inhi barshati sham me tum yeh kya puchh baithe?
Meri yaar mujhse mere haal-e-dil puchh baithe,
Sabne apni apni kissa sunake chale gaye,
Par woh mujhse meri hi kissa puchh baithe...
 

Meri sargoshi me kiska naam hai,puchh baithe?
Meri azaan me yeh ibadat kisiki hai puchh baithe,
Sab khabar rakh kar bhi tab woh bekhabar bangaye,
Jab mere khuda mujhse meri majhab puchh baithe..
 

Meri janaze se "kaise ho",woh puchh baithe,
Ek murdaar se uski umar woh puchh baithe,
Majak to tab sari duniya unki banayi,
Jab woh rote hue ko rone ki wajah puchh baithe...
 

Dariya se kisine uski gehrayi puchh baithe,
Kasti se tufanon ki surat woh puchh baithe,
Kinaron pe ghumne wale sab phut phut k has pade,
Jab koi "sahil" se lehron ki ristaa puchh baithe....