Sunday 1 November 2015

Jo Miljaye Woh Chaand Kya ?


Jo girjaye haathon me toh woh chaand kya ?
Woh dur hai aasmaan me,
Isiliye toh pyaas sadiyon se hai, 
Jo miljaata asani se toh phirr woh chaand kya ?

Hum toh yun taak te hain,
Yunhi kisiko jod kar chhedte hain,
Jo bhi aajaye dil ke darr par hum usiko batlate hain,
Wohi agar aajata toh phirr woh chaand kya ?

Sab usse chahte hain,
Par paas jaane ko itrate hain,
Jaan ki Fikr me sab usse khwab hi batlate hain,
Bina jaan gawaye miljaye toh phirr woh chaand kya ?

Woh Badal usse khub chahta hai,
Isiliye to paas Jane ki koshis me baras jata hai,
Sadiyon ka woh justzu hai,phirr bhi bahut dur hai,
Miljaata jo usse phirr woh humara chaand kya ?

2 comments:

  1. Landed here via FB. Should try to write devnagari script. Hindi poem in English script loses charm and is difficult to read. You seem like someone interested in this field, why not pick the right tool? If Hindi is not your first language, try Google Transliteration tools.

    ReplyDelete
    Replies
    1. thank u sir...for ur valuable suggestion... i will keep it in mind... from next time i will try.

      Delete