Monday, 27 October 2014

Tum Aayi Ho(2)


Meri viraan raaton ki ghazal me,

Tum aayi ho,
Ek saaz bankar,
Ek malhaar raag bankar,
Meri banayi dhun me,

Tum ek jhankar bankar aayi ho..

Mann ki bansuri bajane,
Dil me koi sangeet chhedne,
Woh geet sabko sunane,
Mere khali pan me,
Tum pancham raag lekar aayi ho..

Yamuna ke tat par aayi ho milne,
Meri dhun se taal milane,

Pyari payal khankane,
Kanha ki zindegi me,
Tum "Raadha" bankar aayi ho..

Sabke mana karne par bhi,
Lakh badnaam seh kar bhi,
Laaj sharam gawa kar bhi,

Khwabon ki galiyon me,
Tum aaj, Mujhse milne aayi ho,

Wednesday, 22 October 2014

Tum Aayi Ho (1)

Mere kamren ke sannate keh rahe  hai,
 

Tum aayi ho,
Mujhe bin bataye,
Bina darwaja khule,
Meri tasavur me,
Tum dabe paon aayi ho.
 

Mere paas baithne,
Mere ruthe dil ko manane,
Yuhin mujhse baat karne,
Meri khayalon me,
Tum duniyan se chhup ke aayi ho.
 

Pyaar ki guftgu karne,
Mere bikhre jiwan sajane,
Phirr kuchh jhuti dilasa dene,
Mere geeton me,
Tum duniya se izazat le kar aayi ho.

Sunday, 28 September 2014

Zindegi !






Zindegi!
   duniya ke rangmanch pe bhag rahi hai zindegi,
   to kahin lakho ki bheed me gujar rahi hai ye zindegi.


   kisiki aankhon ki sapnon me ithlati hai zindegi,
   to kahin kisiki khoon pasina se basti hai ye zindegi.


   paiso se kharida hua kisi ki ghulam hai ye zindegi,
   to kahin taqdeer se hare hue ka badsah hai ye zindegi.

   chakmagati gireban tale,gurur se dabti hai kahin zindegi,
   to kahin sehenshilta ki tehzeeb se daudti hai ye zindegi.

  
Zindegi!
   har mod pe,har kisso me,ek ek paheli hai ye zindegi,
   to kabhi uss paheli ko suljhate hue sipahi hai ye zindegi,


   ajeeb sawal hai,"hoti kya hai ye zindegi"?
   to jawab bhi deti hai khud wohi zindegi.

   jisko mila sayad wohi hai zindegi,
   jiski naseeb nehin hua woh bhi hai zindegi,

   jo zinda hai usne jana nehin ki hai kya ye zindegi,
   jo margaya usne bhi samjha nehin asool-e-zindegi,


Zindegi!
   Har dil ki awaaz hai ye zindegi,
   pyaar mohabbat ki sandesh hai ye zindegi,

   Ishwar ka diya hua anmol uphaar hai zindegi,
   sama aur parwaana jaisi hi hai ye zindegi......

   dil ki jharonko se jo dekha,usse "gyan" ne kaha zindegi,
   par uske chhote dimag se bhi pare hai ye asal zindegi.....


Sunday, 21 September 2014

Yaadon Ki Asar-1

Aksar tanha baithe yehi sochta hun,
Ki tum hoti to kya hota ?
Tere hathon Mera haath hota,
Rahen suhani hoti,
Suhana mausam hota,
Aur kahani kuchh alag hoti.

Baarish ki bundon ki tarah 
Ek duje k liye barash jate,
Phagun ke gullal me ghul jate,
Befikar yun pankh lehrate,
Pure aasman ko naap lete.

Par aisa ho na saka,
Rahon me Ye kaisi aafat aagayi,
Tum mujhse juda hogayi,
Manzilon se maksad alag kargayi,
Aur Pyar ki pehli haar degayi.

Tuesday, 16 September 2014

Tum Yeh Kya Puchh Baithe?



Inhi barshati sham me tum yeh kya puchh baithe?
Meri yaar mujhse mere haal-e-dil puchh baithe,
Sabne apni apni kissa sunake chale gaye,
Par woh mujhse meri hi kissa puchh baithe...
 

Meri sargoshi me kiska naam hai,puchh baithe?
Meri azaan me yeh ibadat kisiki hai puchh baithe,
Sab khabar rakh kar bhi tab woh bekhabar bangaye,
Jab mere khuda mujhse meri majhab puchh baithe..
 

Meri janaze se "kaise ho",woh puchh baithe,
Ek murdaar se uski umar woh puchh baithe,
Majak to tab sari duniya unki banayi,
Jab woh rote hue ko rone ki wajah puchh baithe...
 

Dariya se kisine uski gehrayi puchh baithe,
Kasti se tufanon ki surat woh puchh baithe,
Kinaron pe ghumne wale sab phut phut k has pade,
Jab koi "sahil" se lehron ki ristaa puchh baithe....

Monday, 18 August 2014

Tera Yun Paas Aana





Tera yun paas aana,
Mujhe apna kehna,
Wo baten banana,
Aur iss dil ko chhu jaana,
Badi lambi hai daastan...
 

Yun dil ka ruthna,
Ye dil ka ghabrana,
Yuhin bewajah tadapna,
Aur tera dil dhadkna,
Tha mera ek ek sapna....
 

Undino me tera milna,
Wo baten banana,
Wo gale lag jaana,
Aur iss galon ko chumna,
Lage aaj afsaana...
 

Ab tera pyaar jatana,
Iss dil se dur chalejaana,
Tanhan aansu girana,
Aur teri yaadon me khojaana,
Ye kissa kisiko nehin hai sunana...
 

Bichhde rahon me phirr se chalna,
Khoye hue sapnon ko phirr sajana,
Kasmo kas se ab hai takrana,
Badi muskil hai ab jeena,
Par aise hi hai zindegi gujarna...

Friday, 11 July 2014

Oh Azad Panchhi !

Oh azaad panchhi ! Tum abaad udd chalo,

    Yeh saara nabh tumhara ghar hai,
    Tumhe kisi ki ashiane ki zarurat nehin..

    Yeh zahan ke khuda tumhare saath hai,
    Kisi ki jhuti duaon ki tumhe zarurat nehin..

    Apne pankhon par kar yakeen,
    Tu har aandhi se gujar jayega,
    Tujhe kisi ki sahare ki zarurat nehin..


Oh azaad panchhi ! Tum abaad udd chalo,

    Suraj dhalne ko hai par tujhe udna hai dur anek,
    Athak tu,tujhe koi daliyon ki zarurat nehin.

    Apne mann ka hi sunna,dur falak tak jaana,
    Koi rokde tujhe,gairon me itni himmat nehin.

    Ye duniya tujhe pukar rahi hai,
    Jahan mann kare wohin ruk jaana,
    Tujhe rakhne ko meri pinjron me aukat nehin..


Tuesday, 24 June 2014

ଅନାମିକା ନାୟିକା



ମନ ର ନାୟିକା ସେ ଅନାମିକା !

     ସୁନ୍ଦରୀ ସୁଶୀଳା ସେ , ସତେ ଯେପରି ଏକ ପରୀ,
     ତାର ଚୋରା ଚାହାଣୀ ଆଗରେ ମୁ ନିଜକୁ ଗଲି ହାରି.

     ଘନ କଳା କେଶ ତାର ସତେ ଅବା ଅକାଶ ର ମେଘ ,
     ଜୈଷ୍ଠ ର ଉଷ୍ମତା ଥିଲା , ମୋତେ କିନ୍ତୁ ଲାଗୁଥିଲା ମାଘ .

     ମନ୍ଦିର ବେଢା ରେ ଦେଖା ହୋଇଥିଲା ସେ ଅପସରି,
     ସତେ ଅବା ମା ବିରଜାଂକ ଥିଲା ସେ ଯାଦୁ ର କାରିଗରୀ .

ସୁନ୍ଦରୀ ସେ ,
ସ୍ବପ୍ନ ର ନାୟିକା ସେ, ଅନାମିକା!

      ଥିଲି ସାଂଗ ମେଳ ରେ , କିନ୍ତୁ ଲାଗୁଥିଲା ଏକା ଏକା ,
      ନଜର ଠୁ ହଜିଗଲା ପରେ ଅକାଶ ଲାଗୁଥିଲା ଫିକା ଫିକା .

      କ୍ଷଣିକ ପାଇଁ ମନେ ମୋର ଉନ୍ମାଦନା ଭରି ଗଲା ,
      ଲାଗୁଥିଲା ଜୀବନ ରେ ସତେ ପୁଣି ଶ୍ରାବଣ ଫେରି ଆସିଲା .


      ହେଲେ ମନ୍ଦିର ବାହାରେ , ଦୁନିଆ ର ଭିଡ ରେ ସେ ହଜିଗଲା ,
      ଅସହାୟ ଜୀବନ ରେ ପୁଣି ଅମା ଅନ୍ଧାର ଘୋଟି ଆସିଲା .

      ଚାଲି ଆସିଥିଲି ସେ ଜାଗା ରୁ , ତାଂକ ଠୁ ବହୁ ଦୁର କୁ ,
      କିନ୍ତୁ ଭୁଲି ପରୁନଥିଲି ସେ ଚାହାଣୀ , ସେ ସମୟ କୁ .

      ବେଳେ ବେଳେ ଏକାନ୍ତ ରେ ମନେ ପଡେ ତାଂକ ମାସୁମ୍ ଚେହେରା ,
      ଚାନ୍ଦ ର ଟୁକୁଡା ଅବା ସେ ଫୁଲ ର ପାଖୁଡା ?

ସୁନ୍ଦରୀ ପ୍ରିୟତମା ସେ ,
ସ୍ବପ୍ନ ର ନାୟିକା , ଅନାମିକା !

Tuesday, 29 April 2014

Sahil

Aaj pata chala Ye lehren kyun sahil se takrati hain?
Dard sine me de kar kyun phirr laut jati hain?
Yugon se bandi hai Woh uss dariya ke aghos me,
Bas karz intezar ki chukane Woh aati jati rehti hain...

Milti hain aisi, jaisi pal me Jane wali hain,
Jati bhi hain aisi jaisi phirr laut ke aane wali hain,
Par Woh bewkoof sahil abb bhi uss intezar me baitha hai,
Ek na ek din Woh sagar ki lehren usse Milne wali hain.....

Raaz Ye ab raaz nehin raha hai,
Ye sach zamane bhar me pata hai,
Jaan kar bhi anjaan abb bhi hai ye sahil,
Banega uska usse aur bhi yakeen hai....

Gujarte hue Har ek musafir koi nishan chhod jata hai,
Aadat se majboor Woh lehren Sabko mitati rehti hai,
Abb to kehne lagi hai ye saara zamaana,
Ki Ye sahil musafiron ke,aur Ye lehren sahil ki hai...

Wednesday, 26 March 2014

I Wanna Hold You

O baby! I want to hold you,
Very tight in my hand,
Very close to my heart,
I want to hold you,
From the sunrise to sunset,
For the life time,
O baby! I wanna hold you.

Days are too long,
Nights are very scaring,
and I'm too alone to spent all,
Don't go away,o my heart!
I want to hold you.
As like as sky holds moon,
Sea holds water,
Alike o baby! I wanna hold you.

Roads are too long,
Destinies are very far,
And I m too alone to walk along,
So Come to me,walk with me,
By holding each other's hand,
Just like as my shadow,
The breeze that I need to breathe,
So my heart! always hold my hand.