Friday 11 July 2014

Oh Azad Panchhi !

Oh azaad panchhi ! Tum abaad udd chalo,

    Yeh saara nabh tumhara ghar hai,
    Tumhe kisi ki ashiane ki zarurat nehin..

    Yeh zahan ke khuda tumhare saath hai,
    Kisi ki jhuti duaon ki tumhe zarurat nehin..

    Apne pankhon par kar yakeen,
    Tu har aandhi se gujar jayega,
    Tujhe kisi ki sahare ki zarurat nehin..


Oh azaad panchhi ! Tum abaad udd chalo,

    Suraj dhalne ko hai par tujhe udna hai dur anek,
    Athak tu,tujhe koi daliyon ki zarurat nehin.

    Apne mann ka hi sunna,dur falak tak jaana,
    Koi rokde tujhe,gairon me itni himmat nehin.

    Ye duniya tujhe pukar rahi hai,
    Jahan mann kare wohin ruk jaana,
    Tujhe rakhne ko meri pinjron me aukat nehin..


No comments:

Post a Comment