Monday, 18 August 2014

Tera Yun Paas Aana





Tera yun paas aana,
Mujhe apna kehna,
Wo baten banana,
Aur iss dil ko chhu jaana,
Badi lambi hai daastan...
 

Yun dil ka ruthna,
Ye dil ka ghabrana,
Yuhin bewajah tadapna,
Aur tera dil dhadkna,
Tha mera ek ek sapna....
 

Undino me tera milna,
Wo baten banana,
Wo gale lag jaana,
Aur iss galon ko chumna,
Lage aaj afsaana...
 

Ab tera pyaar jatana,
Iss dil se dur chalejaana,
Tanhan aansu girana,
Aur teri yaadon me khojaana,
Ye kissa kisiko nehin hai sunana...
 

Bichhde rahon me phirr se chalna,
Khoye hue sapnon ko phirr sajana,
Kasmo kas se ab hai takrana,
Badi muskil hai ab jeena,
Par aise hi hai zindegi gujarna...

Friday, 11 July 2014

Oh Azad Panchhi !

Oh azaad panchhi ! Tum abaad udd chalo,

    Yeh saara nabh tumhara ghar hai,
    Tumhe kisi ki ashiane ki zarurat nehin..

    Yeh zahan ke khuda tumhare saath hai,
    Kisi ki jhuti duaon ki tumhe zarurat nehin..

    Apne pankhon par kar yakeen,
    Tu har aandhi se gujar jayega,
    Tujhe kisi ki sahare ki zarurat nehin..


Oh azaad panchhi ! Tum abaad udd chalo,

    Suraj dhalne ko hai par tujhe udna hai dur anek,
    Athak tu,tujhe koi daliyon ki zarurat nehin.

    Apne mann ka hi sunna,dur falak tak jaana,
    Koi rokde tujhe,gairon me itni himmat nehin.

    Ye duniya tujhe pukar rahi hai,
    Jahan mann kare wohin ruk jaana,
    Tujhe rakhne ko meri pinjron me aukat nehin..


Tuesday, 24 June 2014

ଅନାମିକା ନାୟିକା



ମନ ର ନାୟିକା ସେ ଅନାମିକା !

     ସୁନ୍ଦରୀ ସୁଶୀଳା ସେ , ସତେ ଯେପରି ଏକ ପରୀ,
     ତାର ଚୋରା ଚାହାଣୀ ଆଗରେ ମୁ ନିଜକୁ ଗଲି ହାରି.

     ଘନ କଳା କେଶ ତାର ସତେ ଅବା ଅକାଶ ର ମେଘ ,
     ଜୈଷ୍ଠ ର ଉଷ୍ମତା ଥିଲା , ମୋତେ କିନ୍ତୁ ଲାଗୁଥିଲା ମାଘ .

     ମନ୍ଦିର ବେଢା ରେ ଦେଖା ହୋଇଥିଲା ସେ ଅପସରି,
     ସତେ ଅବା ମା ବିରଜାଂକ ଥିଲା ସେ ଯାଦୁ ର କାରିଗରୀ .

ସୁନ୍ଦରୀ ସେ ,
ସ୍ବପ୍ନ ର ନାୟିକା ସେ, ଅନାମିକା!

      ଥିଲି ସାଂଗ ମେଳ ରେ , କିନ୍ତୁ ଲାଗୁଥିଲା ଏକା ଏକା ,
      ନଜର ଠୁ ହଜିଗଲା ପରେ ଅକାଶ ଲାଗୁଥିଲା ଫିକା ଫିକା .

      କ୍ଷଣିକ ପାଇଁ ମନେ ମୋର ଉନ୍ମାଦନା ଭରି ଗଲା ,
      ଲାଗୁଥିଲା ଜୀବନ ରେ ସତେ ପୁଣି ଶ୍ରାବଣ ଫେରି ଆସିଲା .


      ହେଲେ ମନ୍ଦିର ବାହାରେ , ଦୁନିଆ ର ଭିଡ ରେ ସେ ହଜିଗଲା ,
      ଅସହାୟ ଜୀବନ ରେ ପୁଣି ଅମା ଅନ୍ଧାର ଘୋଟି ଆସିଲା .

      ଚାଲି ଆସିଥିଲି ସେ ଜାଗା ରୁ , ତାଂକ ଠୁ ବହୁ ଦୁର କୁ ,
      କିନ୍ତୁ ଭୁଲି ପରୁନଥିଲି ସେ ଚାହାଣୀ , ସେ ସମୟ କୁ .

      ବେଳେ ବେଳେ ଏକାନ୍ତ ରେ ମନେ ପଡେ ତାଂକ ମାସୁମ୍ ଚେହେରା ,
      ଚାନ୍ଦ ର ଟୁକୁଡା ଅବା ସେ ଫୁଲ ର ପାଖୁଡା ?

ସୁନ୍ଦରୀ ପ୍ରିୟତମା ସେ ,
ସ୍ବପ୍ନ ର ନାୟିକା , ଅନାମିକା !

Tuesday, 29 April 2014

Sahil

Aaj pata chala Ye lehren kyun sahil se takrati hain?
Dard sine me de kar kyun phirr laut jati hain?
Yugon se bandi hai Woh uss dariya ke aghos me,
Bas karz intezar ki chukane Woh aati jati rehti hain...

Milti hain aisi, jaisi pal me Jane wali hain,
Jati bhi hain aisi jaisi phirr laut ke aane wali hain,
Par Woh bewkoof sahil abb bhi uss intezar me baitha hai,
Ek na ek din Woh sagar ki lehren usse Milne wali hain.....

Raaz Ye ab raaz nehin raha hai,
Ye sach zamane bhar me pata hai,
Jaan kar bhi anjaan abb bhi hai ye sahil,
Banega uska usse aur bhi yakeen hai....

Gujarte hue Har ek musafir koi nishan chhod jata hai,
Aadat se majboor Woh lehren Sabko mitati rehti hai,
Abb to kehne lagi hai ye saara zamaana,
Ki Ye sahil musafiron ke,aur Ye lehren sahil ki hai...

Wednesday, 26 March 2014

I Wanna Hold You

O baby! I want to hold you,
Very tight in my hand,
Very close to my heart,
I want to hold you,
From the sunrise to sunset,
For the life time,
O baby! I wanna hold you.

Days are too long,
Nights are very scaring,
and I'm too alone to spent all,
Don't go away,o my heart!
I want to hold you.
As like as sky holds moon,
Sea holds water,
Alike o baby! I wanna hold you.

Roads are too long,
Destinies are very far,
And I m too alone to walk along,
So Come to me,walk with me,
By holding each other's hand,
Just like as my shadow,
The breeze that I need to breathe,
So my heart! always hold my hand.

Monday, 10 March 2014

Laapata

Zindegi uss raste par chal rahi hai,
Jiski manzilen hai laapata,
Dard iss kadar seh raha hun,
Par uske chot se hun laapata....

Khud ko haar gaya hun khud se,
Kyun ki ye dil hai jism se laapata,
Sunana chahta hun ye dastaan sabko,
Par sunne wale hain laapata.......

Saare badan hai chot se bhara hua,
Par sarir ke khun hai laapata,
Ghum ke uss chaurahe par khada hun,
Ki zindegi me meri khusi hai laapata...

riste sab tut gaye,
apne hue laapata,
subha hui,aankh khuli,
aur sapne hue laapata.......

duniya me kya tha mera,
jo hua laapata,
aaj me kyun ro raha hun,
isske karan hai laapata...

zindegi me udasi chhayi hui hai,
har umeed hai laapata,
har dard se wakif hun,
par uske daba hai lapata,,,,

aaj me kyun ro raha hun,
isske karan hai laapata...........

Thursday, 23 January 2014

Milti Ho Tum Kabhi Kabhi

Milti ho tum kabhi kabhi,
Par lagta hai abhi abhi, 
Najane kitni khusiyan lati ho,
Bahar lati ho,
Ya basant lati ho,
Bayaan karna mere bas me nehin hai,

Itna keh sakta hun,
Mile bagair tumse,
Zindegi gujaarna mere bas me nehin hai...
.

Milti ho tum kabhi kabhi,
Par lagta hai abhi abhi,
Aur ye kaisa saath de jati ho,
Saath chalti ho,
Ya saaya banjati ho,
Ye samajhna bada hi muskil hai,
Bas itna samajhta hun,
Dur manzil tak chalne ko,
Har kadam me humsafar tu banjati hai....


Milti ho tum kabhi kabhi,
Par lagta hai abhi abhi,
Har baar ye tan ko tum aise chhu jati ho,
Kuchh dastan banjati hai,
Kuchh afsana banjata hai,
Na tumko, na mujhe khabar hoti hai,
Par khabar ye jarur aati hai,
Ki har zubaan par,
Teri meri kahani ki charcha chalti hai....


Milti ho tum kabhi kabhi,
Par lagta hai abhi abhi,
Aur agle milan tak aise bechain kar jati ho,
Neende chura leti ho,
Sapno me bhi aane lagti ho.
Ye bechaini tumhe batana muskil hai,
Bas itna bata sakta hun,
Tere saath mile kuchh pal k khatir,
Zindegi se zindegi ki rukhsat bhi mujhe manjur hai........

Saturday, 2 November 2013

Ye Dil Tu Thoda Sambhal Jaa

 
Ye dil! tu thoda sambhal ja,
Haal hi me jo dard mile the,
Woh ghon abtak bhare nehin hai,
Ye dil! tu thoda sambhal ja.....

Khoon ab bhi ansu bankar tapak rahe hain,
Apne hi angan me abb v tu rushwa hai,
Itna bhi Khud ko majboor na kar,
Ye dil! tu thoda sambhal ja.....

Mana ki bebasi ki aag me tu jal raha hai,
Bekrari me tu aaj bhi tadap raha hai,
Par ishq ki aasiqui me phirr na fisal,
Ye dil! tu thoda sambhal ja.....

Tute hue kisso ko tu abtak samet nehi paya hai,
Ghani viraan raaton ko abtak gujaar nehin paya hai,
apne hi rahon me musafir banne se pehle,
Ye dil! tu thoda sambhal ja......

Ye nazre nazaron ki khel hai,
Bas lachar kuchh pal ki Mel hai,
Phirr chalega dilon ka bikhrna,dekhna
Yeh dil! tu thoda sambhal ja.....

Waqt ki pawandi abtak hata nehi hai,
Dard ke badal abb v gujre nehin hai,
Ansuon ki barish me phirr kho na Jana.
Yeh dil! tu thoda sambhal jaa.....

Dil tu bas thoda samhal jaa...
Duniyan me kuchh din akele jeeta jaa,
Ishq me jaan yun fanna na kar,
Ye dil! tu thoda sambhal jaa.....

Thursday, 1 August 2013

Mann Panchhi

Mann panchhi mera udd aaya,
udd aya uss kale badlon se dur,
ghane junglon se dur,
udd aaya apna pankh lehrate hue,
naya ek duniya sajaane...

Mann panchhi mera udd aaya,
udd aaya unn mehlon se dur,
gehre sannaton se dur,
udd aaya apna bahen phehlate hue,
naya ek sapna sajaane.....

Mann panchhi mera udd aaya,
udd aaya unn doston se dur,
ranz-o-gum se dur,
udd aaya apna jor lagate hue,
naya ek dost banane.......

Mann panchhi mera udd aaya,
udd aaya unn galiyon se dur,
pinjre ki dayare se dur,
udd aaya apna khwab bachate hue,
naya ek duniya me jeene....

Mann panchhi mera udd aaya,
udd aaya unn saazishon se dur,
shima hin dariya se dur,
udd aaya apna jaan bachate hue,
yaadon ki tinke se naya ek aashiyana banane....

Sunday, 9 June 2013

TERE BINA


Tere bina ye hasr hua hai,
ki tere bina koi aur hasrat nehin hai,
dil me jine ki jazbaat bahut hai,
magar tere bina khudko jalane ki tamanna hai....

Tere bina mera ye haal hai,
ki tere bina koi haalaat nehin jachta hai,
mehfil me hasne ki koshis ye dil karta hai,
magar tere bina ye mehfil bhi viraan lagta hai......

Tere bina mera ye aitraaz hai,
ki tere bina kisipe aitbaar nehin hai,
kehene ko to sab apne hi hai,
magar tere bina sab gair hai....

Tere bina mera kuchh aisa raat hai,
ki tere bina har raat hijr ki hai,
chain se sone ko ye jism chahta hai,
magar tere bina ye dil bachaini me  jaagta hai....

Tere bina mera koi kal nehin hai,
ki tere bina koi aisa pal nehin hai,
bin tere sawarne ko koshis to hai,
magar tere bina jeene ki aur aas nehin hai.